Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal data tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal data tha
Woh mujhay deekh kar muskra dati thi
Aur pyaar say chapat laga dati thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray deekhata tha
Woh her baar meray naaz uthati thi
Woh meray sadkay wari jati thi
Raat kay kisi pahar bhi ghar jo aata us ko apna muntizar pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duyain hameesha meray saath hotin
PER AB
Zindagi main woh baat nahi hai
Kyu kah woh meray saath nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai
Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai
Ghar jab loton woh nigahain dhoondta hon
Sama jaon jin main woh bahain dhoondta hon
Un jaghoon ko deekhta rahta hon jahan beth kay woh mera intzaar karti thi
Main ghantoon apna chahra deekhta hon jahan woh mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hon
Her kadam her rastay per thoker khata hon
Tu lout aa kah mujhay abhi teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaon ga Khuda kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat sobha shaam karon ga jo kahay gi who her kaam karon ga
Meray kaan phir say muntizar hain ek baar phir woh lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duyain na martein
Kaash kisi ki maien na martein

A comment would be really helpful for the Author to keep going and Post Better. So, Post a Comment to this topic and Share your Views to It. I really appreciate your Comments
No comments:
Post a Comment